thi kahan jurat kisi mein han magar usne kiya

thi kahan jurat kisi mein han magar us ne kiya
dil ke is khali makan ko aaj ghar us ne kiya

ek zamana tha ki duniya thi mere qadmon tale
phir zamane bhar se mujh ko be-khabar us ne kiya

main ne jis ki rah mein dil ko jala kar rakh diya
mujh ko sidhe raste se dar-ba-dar us ne kiya

mast nazron ke sharabi ko bhala kya chahiye
ek jhalak ke waste kitna safar us ne kiya

phul khushbu rang titli istiare hain magar
mujh ko ye sab nam de kar mo'atabar us ne kiya

aaj us ke dil mein meri yaad phir raushan hui
aaj phir raushan diya diwar par us ne kiya

hath mein wo hath mera tham kar chalta raha
zindagi ke faslon ko mukhtasar us ne kiya

phul kaliyan jis ke collar mein saja kar aa gai
zindagi ki ketiyon ko be-samar us ne kiya

jis ke honton par tabassum tha 'tabassum' ke liye
wo tabassum ghair ke phir nam par us ne kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close