thi qahr-e-sadgi bhi sanwarne se peshtar shah-rag pe neshtar tha utarne se peshtar phirta hun dar-ba-dar main magar misl-e-bu-e-gul mera bhi tha maqam bikharne se peshtar be-ashk kya hua ki main be-aks ho gaya aaina tha ye pani utarne se peshtar hijrat se pahle hijr ke the waswase mujhe har lamha hadisa tha guzarne se peshtar is naz-e-intizar ko ek umr ho chali kaisi hameshgi hai ye marne se peshtar