thi to ye ek baat hi par sang-e-mil thi khone ka khauf use bhi hirasan kiye raha baadal bhara-bharraya na barsa to ranj kya is dhup ke safar ko to aasan kiye raha ye ek shai alag se rag-e-jaan pe bar thi ek lamha-e-firaq pareshan kiye raha kya mod tha ki zabt ka yara nahin raha haalanki umr bhar dil-e-nadan kiye raha us gham ke qaraz-dar hain tira-shabon mein bhi radd-e-wafa ka dagh farozan kiye raha kab aap jaante hain ki ek dard mustaqil paiman ki sham sham-e-ghariban kiye raha