thi umid-e-mahr un ko mehrban samjha tha main wo sitam dhaenge mujh par ye kahan samjha tha main arsh se badh chadh ke un ka aastan samjha tha main un ke kuche ki zamin ko aasman samjha tha main kyon na ho dushwar jaana manzil-e-maqsud tak tha bagula jis ko gard-e-karwan samjha tha main iztirab-e-dil ne ifsha dard-e-ulfat kar diya hae nadani ki us ko raazdan samjha tha main ho gai tum par tasadduq ho gai tum par nisar warna apni zindagi ko raegan samjha tha main wo na is ghar mein mile mujh ko na us ghar mein mile kaba bhi but-khana bhi un ka makan samjha tha main aaj wo ek ek ki sau sau sunane baithe hain jin ko kal tak be-dahan-o-be-zaban samjha tha main kah rahe the jab wo mere dard-e-dil ka majra goya un ke munh mein apni hi zaban samjha tha main bahr-e-alam mein thi meri zindagi misl-e-habab haif kyon is ko hayat-e-jawidan samjha tha main wahshat-e-dil badh gai kya khak bahle dil yahan gulshan-e-afaq ko bagh-e-jinan samajhta tha main khal-e-ru-e-dost ki midhat na tum se ho sake shairon mein tum ko 'sabir' nukta-dan samjha tha main