thi wasl mein bhi fikr-e-judai tamam shab wo aae to bhi nind na aai tamam shab wan tana tir-e-yar yahan shikwa zakhm-rez baham thi kis maze ki ladai tamam shab rangin hain khun-e-sar se wo hath aaj-kal rahe jis hath mein wo dast-e-hinai tamam shab talu se yan zaban sahar tak nahin lagi tha kis ko shughl-e-naghma-e-sarai tamam shab yak bar dekhte hi mujhe ghash jo aa gaya bhule the wo bhi hosh-ruhai tamam shab mar jate kyun na subh ke hote hi hijr mein taklif kaisi kaisi uthai tamam shab garm-e-jawab-e-shikwa-e-jaur-e-adu raha us shola-khu ne jaan jalai tamam shab kahta hai mehr-wash tumhein kyun ghair gar nahin din bhar hamesha wasl judai tamam shab dhar panw aastan pe ki is aarzu mein aah ki hai kisi ne nasiya-sai tamam shab 'momin' main apne nalon ke sadqe ki kahte hain un ko bhi aaj nind na aai tamam shab