thoDa sa aur mujhko tu apne qarib kar

thoda sa aur mujh ko tu apne qarib kar
neki isi ka nam hai mere habib kar

kya kya nahin suna tere bare mein aaj-kal
uth kar dikha dhamal ya kuchh to ajib kar

pahle bhi muflisi ki hun sidra pe yar main
daman chhuda ke aur na mujh ko gharib kar

manus ho chuka hun main is aarize se ab
apna tujhe jo kaam hai ja ke tabib kar

deta hun wasta main tujhe panjatan ka aaj
ai zat-e-lam-yazl mere achchhe nasib kar

hijrat ke is azab se khaif nahin 'sahar'
lekin nazar se dur ye mera raqib kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close