Thokaren khaya hua patthar KHuda hona hi tha

thokaren khaya hua patthar khuda hona hi tha
mere gir jaane se us ka qad bada hona hi tha

us shajar ke sukh jaane ka sabab tanhai thi
ek parinda aa ke baitha to hara hona hi tha

dam kuchh apne ziyaada lag rahe the in dinon
phir hamein bazar mein sab se juda hona hi tha

ab imarat dah rahi hai jism ki to khauf kyon
barishon mein bhigne ka shauq tha hona hi tha

sab ko hairat hai ki main tujh se bichhad kaise gaya
kuchh na kuchh to is kahani mein naya hona hi tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close