tilism-e-hosh-ruba mein patang uDti hai

tilism-e-hosh-ruba mein patang udti hai
kisi aqab ki hawa mein patang udti hai

chadhe hain katne walon pe lutne wale
isi hujum-e-bala main patang udti hai

patang udane se kya mana kar sake zahid
ki us ki apni aba mein patang udti hai

ye aap katti hai ya katti hai dusri ko
bas ek bim-o-raja mein patang udti hai

kahin chhaton pe bapa hai basant ka tyauhaar
kahin pe tangi-e-ja mein patang udti hai

kahin falak pe sarakti hai sarsaraati hui
kahin dilon ki faza mein patang udti hai

khula hai is pe kuchh aise bahaar ka mausam
hai rukh pe rang qaba mein patang udti hai

ye khwab hai ki ulajhta hai aur khwabon se
ye chand hai ki khala mein patang udti hai

umid-e-wasl mein so jaen hum kabhi jo 'zafar'
to apni khwab-sara mein patang udti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close