TimTimata hua mandir ka diya ho jaise

timtimata hua mandir ka diya ho jaise
teri aankhon mein koi khwab chhupa ho jaise

pher lin tum ne nigahen to ye mahsus hua
mujh se ruthi hui tasir-e-dua ho jaise

gunjti hai mere kanon mein yun aawaz teri
koh o sahra mein azanon ki sada ho jaise

apni nazren na jhukana ki guman hota hai
samne sar pe khadi meri qaza ho jaise

un ke rukhsat ka wo lamha mujhe yun lagta hai
waqt naraaz hua din bhi dhala ho jaise

pas hote ho to mahsus yahi hota hai
umr bhar ki ye riyazat ka sila ho jaise

bhid aisi hai kise sajda karun ai 'azam'
aaj ke daur mein har shakhs khuda ho jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close