tirgi shoala-e-nafrat ko hawa deti hai

tirgi shoala-e-nafrat ko hawa deti hai
raushni zauq-e-yaqin fikr-e-rasa deti hai

tirgi bais-e-azar musafir ke liye
raushni shokhi-e-raftar-e-saba deti hai

tirgi sarhad-e-auham se aage na badhi
raushni qarya-e-shab mein bhi sada deti hai

tirgi rang-e-alamat ke siwa kuchh bhi nahin
raushni aks-e-shafaq rang-e-hina deti hai

tirgi jahl ko rakhti hai dil-o-jaan ki tarah
raushni ilm ki rahon ka pata deti hai

mukhtasar ye ki shab-e-gham ki sahar hone tak
raushni nur ka ek jal bichha deti hai

raushni surat-e-paigham-e-sahar hai 'akhtar'
raushni hi sila-e-ahd-e-wafa deti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close