tishna-labi ne jab bhi zauq-e-amal diya hai rindon ne mai-kade ka saqi badal diya hai duniya hai is ki shahid is shahr-e-be-aman ne jis mein ana samai wo sar kuchal diya hai khilte rahe hain jo gul baad-e-khizan ki shah par dast-e-saba ne badh kar un ko masal diya hai sab ne suni hai jis mein asr-e-rawan ki dhadkan 'manzur' hum ne aisa saz-e-ghazal diya hai