tishnagi dard thakan soz-e-jigar rakhta hai ek musafir kai saughat-e-safar rakhta hai ye ajab daur-e-taraqqi hai ki insan har pal khud se ghafil hai magar sab kei khabar rakhta hai wo jo na-waqif aadab-e-wafa hai wo bhi jazb-e-ishq tah-e-qalb-o-jigar rakhta hai kaam leta hai jo haalat ki nakaami se apne daman mein wahi fath-o-zafar rakhta hai mere malik mujhe darkar nahin tul-e-hayat umr de us ko jo jine ka hunar rakhta hai jaane kya kah diya us ne dam-e-rukhsat mujh se us ka har lafz qayamat ka asar rakhta hai tere ahbab se achchha tera dushman 'meraj' tere bare mein jo pal pal ki khabar rakhta hai