to meri zindagi banogi tum mar gaya main to kya rahogi tum nahin aadat koi bhali tum mein mujhe zahir hai kyun ginogi tum wo jo zohra hai, hai meri dewi jaan jal jal ke jal marogi tum kya sulagta hun kya dahakta hun ab kaho! mujh se kab milogi tum meri aadat hai kat khane ki mere boson ko kya sahogi tum main jo hun main hun sab nahin hun main wo jo wo sab jinhen padhogi tum