to phir wo ishq ye naqd-o-nazar barae-farokht sukhan barae-hunar hai hunar barae-farokht ayan kiya hai tera raaz fi-sabilillah khabar na thi ki hai ye bhi khabar barae-farokht main qafile se bichhad kar bhala kahan jaun sajae baitha hun zad-e-safar barae-farokht parinde lad hi pade jaedad par aakhir shajar pe likkha hua hai shajar barae-farokht main pahle kufa gaya is ke baad misr gaya idhar barae-shahadat udhar barae-farokht zara ye dusra misra durust farmaen mere makan pe likkha hai ghar barae-farokht