tu agar sham-e-mohabbat ko farozan kar de

tu agar sham-e-mohabbat ko farozan kar de
tirgi zulm ki chaak apna gareban kar de

dard kya shai hai zamane pe numayan kar de
gham ki har mauj se hangama-e-tufan kar de

raushan is tarah se kar ilm-o-amal ki mashal
kam-nigahi ke andhere mein charaghan kar de

dekhi jati nahin be-kaif faza-e-gulshan
uth nae sar se ise khuld-badaman kar de

tez kar shoala-e-ehsas-e-amal ko apne
barq-e-maghrur ko angusht-ba-dandan kar de

kanp uthta hai jigar sun ke jafa ke qisse
khatm afsana-e-khun-rezi-e-insan kar de

sinch kar subh-o-masa khun-e-jigar se apne
tu jo chahe to bayaban ko gulistan kar de

rah ke paband-e-qafas nala-o-fariyaad na kar
azm-e-bebak ko ghaarat-gar-e-zindan kar de

muzmahil ho ke na kar bazm-e-tamanna be-kaif
naghma-zan shauq se phir tar-e-rag-e-jaan kar de

dil mein us kar-e-numayan ki tadap paida kar
jo har ek fard ko millat ka nigahban kar de

paikar-e-azm-e-musammam jo tu ho jae 'aziz'
sar tere qadmon pe kham gardish-e-dauran kar de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close