tu bewafa hi sahi tujhse pyar aaj bhi hai

tu bewafa hi sahi tujh se pyar aaj bhi hai
tere liye ye dil-o-jaan nisar aaj bhi hai

main jaanta hun na aaega tu palat ke kabhi
magar mujhe to tera intizar aaj bhi hai

tu lakh ghair sahi aaj-kal tu tha mera
dil-o-jigar pe tera ikhtiyar aaj bhi hai

tere baghair bhi duniya bahut hasin hai magar
tere firaq mein dil be-qarar aaj bhi hai

khushi hai mujh ko tujhe mil gai teri manzil
khushi se aankh meri ashk-bar aaj bhi hai

na bhar sakega kabhi us ko waqt ka marham
tere karam se mera dil figar aaj bhi hai

main tere bagh ka barg-e-khizan-rasida hun
tu wo kali hai ki jis par bahaar aaj bhi hai

bichhad ke tujh se jiye ja raha hai kyun 'arif'
jigar mein ye khalish-e-nok-e-khar aaj bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close