tu bhi apna na hua aur KHuda chhoD diya

tu bhi apna na hua aur khuda chhod diya
sochta hun ki tere waste kya chhod diya

tera dar teri gali aur tu chhoda na gaya
warna jis jis ko yahan tu ne kaha chhod diya

us sitamgar ki nigahon pe bharosa to nahin
tu agar kahta hai ja man liya chhod diya

sans taza ho meri aur kahin habs ghate
is liye aaj zara dil ko khula chhod diya

zor bazu se na ban paya to kahne wo laga
masala tujh pe mera main ne khuda chhod diya

ab ke wahshat mein pukarunga masiha koi
jo kabhi leta tha main nam tera chhod diya

hijr se jaan chhudane ki sai mein 'shobi'
ek kamra jo tha aaseb-zada chhod diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close