tu hi insaf se kah jis ka khafa yar rahe apne jine se na kis tarah wo be-zar rahe zakhm-e-dil chhile kabhi aur kabhi zakhm-e-jigar nakhun-e-dast-e-junun kab mere be-kar rahe in jafaon ka maza tum ko chakha dewenge han agar zinda hum ai charkh-e-jafakar rahe mai-kade mein hai badi ye hi mughan ki piri ki bas us chashm-e-siyah-mast se hushyar rahe jalte bhunte rahe hum bazm-e-butan mein lekin shama san us pe bhi sar dene ko tayyar rahe yun to kya khwab mein bhi yar ka milna malum apne gar aah yahi tala-e-bedar rahe ek ja sine mein un donon ka rahna hai muhaal ya ye dil hi rahe ya aah-e-sharar-bar rahe us se dil khak ho ummid-e-husul-e-matlab jis se ek bose pe sau tarah ki takrar rahe le ke paikan se tere tir bata to qatil khun mein dube nahin kab ta lab-e-sofar rahe jins-e-dil aatish-e-ulfat mein jale jo chahe par kisi tarah teri garmi-e-bazar rahe bazi-e-ishq mein chipke raho kya khak kahen ek dil rakhte the pas apne so bar rahe aisa dam nak mein aaya hai ki hum raazi hain 'aish' gar sine mein is dil ke ewaz khar rahe