tu hum se jo ham-sharab hoga bahuton ka jigar kabab hoga dhundhega sahab chhupne ko mehr jis roz wo be-naqab hoga khuban se na kar mohabbat ai dil aaman kahan kharab hoga ai marg shitab kah tu mujh se us zist ko kab jawab hoga bosa de 'soz' ko meri jaan matlab tera shitab hoga