tu jaanta bhi hai is kahani ka kya banega

tu jaanta bhi hai is kahani ka kya banega
teri aqidat se sang-reza khuda banega

ise malunga to meri mitti chamak uthegi
ye phul us ke labon ko chhu kar dua banega

hum itni raghbat se us ki aankhon ko dekhte hain
khuda-na-karda ye shauq badh kar nasha banega

tere banae hasin chehron se zakhm khate
khudaya tere nahif bandon ka kya banega

hum ek shoale ki dastaras mein bhadak rahe hain
ab aage aage hamara dil bhi diya banega

ye lamha jis mein hum aaj chhup kar gale mile hain
agar muqaddar nahin mila to saza banega

main do qabilon ki dushmani ko mita raha hun
hamari shadi se ek naya silsila banega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close