tu khud ko dekh le kitna daraaz-qamat hai tera falak to mere chand ki badaulat hai kisi bhi haal mein hum kharch kar nahin sakte hamara dard teri di hui amanat hai mera wajud abhi barf ki misal nahin bachi hui abhi is rakh mein tamazat hai jawab int ka dena padega patthar se yahi hai rasm yahan ki yahi riwayat hai ajib chaar-taraf hai faza mein khamoshi ye kya maqam hai kis qahr ki alamat hai nahin charagh to jugnu ka qafila bheje bahut siyah hai rasta bahut zarurat hai 'nisar' tez qadam hai bahut ye duniya to ki ab padaw bhi karna tujhe qayamat hai