tu mila tha aur mere haal par roya bhi tha mere sine mein kabhi ek iztirab aisa bhi tha jis tarah dil aashna tha shahr ke aadab se kuchh usi andaz se shaista-e-sahra bhi tha zindagi tanha na thi ai ishq teri rah mein dhup thi sahra tha aur ek mehrban saya bhi tha ishq ke sahra-nashinon se mulaqaten bhi thin husn ke shahr-e-nigaran mein bahut charcha bhi tha hijr ke shab-zinda-daron se shanasai bhi thi wasl ki lazzat mein gum logon se ek nata bhi tha har fasurda aankh se manus thi apni nazar dukh bhare sinon se ham-rishta mera sina bhi tha thak bhi jate the agar sahra-nawardi se to kya muttasil sahra ke ek wajd-afrin dariya bhi tha