tu rahe ye rut rahe ye daur-e-paimana rahe ta-qayamat saqiya aabaad mai-khana rahe ek taraf jalta raha parwana sham-e-bazm par ek taraf hum shama-rukh par ban ke parwana rahe shor bulbul ka chaman mein hai to kya ai ham-nawa hum to diwane udate khak-e-virana rahe kya zara si baat ka tu ne batangad kar diya tujh se mere yar kis ka kab ko yarana rahe hum se diwane mein shikwe ki kahan taqat bhala tohmaten hum par laga kar aap farzana rahe meri ulfat mein nahin kuchh farq teri baat se mere lab par tere ghamze ka hi shukrana rahe kijiye 'diwan' raushan is tarah se nam ko hashr tak to kam se kam ulfat ka afsana rahe