tu suKHanwar hai to kar haq se wafa harf-ba-harf

tu sukhanwar hai to kar haq se wafa harf-ba-harf
farz sha'ir ka sadaqat se nibha harf-ba-harf

dhund aflak nae aur zaminen bhi nai
ho ghazal ka teri har she'r naya harf-ba-harf

naqsh ko lafz mein manzar ko ibarat mein badal
phir jo dekha teri aankhon ne dikha harf-ba-harf

laila majnun ke fasane ke bahane hi sahi
apni rudad zamane ko suna harf-ba-harf

rang-o-alfaz mein jurat kahan jo khinchen sanam
hu-ba-hu teri chhata teri ada harf-ba-harf

she'r mein yun hi nahin rang-e-taghazzul aaya
khun-e-dil se ise sincha hai gaya harf-ba-harf

hum nahin wo jo tarannum ko sukhan kahte hain
hum ne har she'r mein ma'ni hai bhara harf-ba-harf

shaikh achchha hua tu hafiz-e-quran hua
ab ek aayat pe amal kar ke dikha harf-ba-harf

kar buland apni sada haq mein gharibon ke 'sada'
aur utar apne takhallus pe khara harf-ba-harf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close