tufan ka hawaon ka pani ka kya bana kashti bhanwar mein thi to rawani ka kya bana kirdar to shurua mein mara gaya magar ye to bata ke jao kahani ka kya bana us ne khabar ye di mera aangan ujad gaya main sochti hun raat ki rani ka kya bana ab ped to nahin hain parinde kahan gae aur ye ki un ki naql-e-makani ka kya bana wo le gaya tha sath kinare samet kar dariya se puchhti rahi pani ka kya bana main aaine mein dhundhti rahti hun raat din kuchh to pata chale ki jawani ka kya bana main to ruki nahin thi chali aai chhod kar jaane phir us ki talkh-bayani ka kya bana wo jo tumhaare pas amanat padi rahi us gungunati sham suhani ka kya bana