tufan se Takrana us ka to watira hai

tufan se takrana us ka to watira hai
dil ashkon ke qulzum mein chhota sa jazira hai

ehsas nazakat ki kyon maut na waqe ho
har phul ke aangan mein kanton ka zakhira hai

darzon ki latafat mein khushbu ne aman pai
gul chirne wale ne kis shan se chira hai

munh-zor ujale se behtar thi shab-e-tira
ab dil bhi pareshan hai aur aankh bhi khira hai

har phul ki surat mein shakhon pe jama khun hai
ye sahn-e-chaman kya hai zakhmon ka zakhira hai

mahtab se chehron ke be-sud nazare hain
jab qalb ki duniya mein chhai shab-e-tira hai

alfaz ke teshe se ai 'jaan' tarash us ko
patthar ke libaade mein poshida jo hira hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close