tujh bin rah-e-hayat mein lutf-e-safar kahan taskin-e-qalb-o-ruh sukun-e-jigar kahan tufan-e-barq-o-baad mein ye jaen par kahan ujde hue chaman ke parindon ka ghar kahan us ki nigah-e-naz ne be-khud bana diya khud mujh ko apne-ap ki ab hai khabar kahan jaan se aziz-tar hai unhen gulsitan ki khak jaen chaman ko ahl-e-chaman chhod kar kahan bas khubi-e-nasib ne tujh se mila diya warna kahan pe tu hai teri rahguzar kahan