tujhe kal hi se nahin be-kali na kuchh aaj hi se raha qalaq teri umr sari yunhi kati tu hamesha yunhi jiya 'qalaq' hua dil ke jaane ka ab yaqin ki wo dard-e-bar mein mare nahin na wo iztirab-e-qaza kahin na wo hashr-khez bala 'qalaq' mujhe hashr kar diya baithna mujhe qahr ho gaya thaharna hai basan-e-sabr gurez-pa nahin gham-gusar mera qalaq unhen nala karne ka ranj kya unhen aah bharne ka ranj kya unhen mere marne ka ranj kya unhen mere jaane ka kya qalaq yahi rashk ne diye mashware kabhi parda un ka na kholiye mere ji hi ji mein phira kiye mere dil hi dil mein raha qalaq na to roe ghair na ghar rahe na shab-e-firaq mein mar rahe na wafa kare na sitam sahe na jafa hui na hua qalaq na wo main raha na wo tu raha na wo aarzu na wo muddaa hua zindagi ka bhi faisla magar ek tera raha qalaq rahe lakh sadme nafas nafas jiye kyun ki koi parae bas shab-e-wasl marne ki thi hawas shab-e-hijr jine ka tha qalaq nahin chain un ko bhi ek dam ki hai fikr-e-jaur ka gham sa gham hue mujh pe roz nae sitam raha un ko roz naya qalaq kare rabt koi kisi se kya ki utha tariq nibah ka na karegi tujh se wafa jafa na karega mujh se wafa qalaq main jala to shoale mein josh tha jo hua main khak hai zalzala main hazar shakl badal chuka pa kisi tarah na chhupa qalaq nahin tere phirne ka kuchh gila ki zamana sara badal gaya jo shab-e-visal mein chain tha wahi roz-e-hijr bana qalaq wo hai iltifat dam-e-sitam ki ziyaada is se nahin karam mere chaak-e-dil ka rafu alam mere dard-e-jaan ki dawa qalaq gae wan bhi par na ghata alam chhute sab se par na chhuta alam mere pas se na hata alam mere sath se na tala qalaq abhi tha sala-e-zan-e-sabaq abhi thi kitab-e-waraq-waraq kabhi madrase mein raha 'qalaq' kabhi mai-kade mein raha 'qalaq'