tujhe kya naseha ahbab khud samjhae jate hain idhar tu khae jata hai udhar wo khae jate hain chaman walon se ja kar ai nasim-e-subh kah dena asiran-e-qafas ke aaj par katwae jate hain kahin bedi atakti hai kahin zanjir ulajhti hai badi mushkil se diwane tere dafnae jate hain unhen ghairon ke ghar dekha hai aur inkar hai un ko main baaten pi raha hun aur wo qasmen khae jate hain khuda mahfuz rakkhe nala-ha-e-sham-e-furqat se zamin bhi kanpti hai aasman tharrae jate hain koi dam ashk thamte hi nahin aisa bhi kya rona 'qamar' do-chaar din ki baat hai wo aae jate hain