tujhe pa kar bhi jab koi kami mahsus hoti hai

tujhe pa kar bhi jab koi kami mahsus hoti hai
to phir ye sans bhi rukti hui mahsus hoti hai

jo kahna hi nahin us ka ishaara kyun diya jae
ki aisi baat to kuchh aur bhi mahsus hoti hai

adim-ul-fursati shiddat se us ka yaad aa jaana
ghanimat hai agar ye tishnagi mahsus hoti hai

palat kar aa gae ho tum to kyun aae nahin lagte
tumhaari aankh mein kyun gard si mahsus hoti hai

wagarna bojh hai jis ko liye phirna hai kandhe par
karen mahsus to ye zindagi mahsus hoti hai

shajar wo bhi jise sincha ho apna khun de de kar
kabhi us ki bhi chhanw ajnabi mahsus hoti hai

ye mere khwab hain jo saya karte hain mere sar par
mujhe is dopahar mein chhanw si mahsus hoti hai

kisi ki guftugu ke darmiyan aksar na jaane kyun
kahin gahri si koi khamushi mahsus hoti hai

zamin teri tarah main bhi safar mein hun ki jaise tu
kabhi thahri nahin thahri hui mahsus hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close