tujhi se karta hun main haal-e-dil bayan qasid

tujhi se karta hun main haal-e-dil bayan qasid
ki tu hi hai mera duniya mein raazdan qasid

sunata khub meri un ko dastan qasid
tere dahan mein jo hoti meri zaban qasid

charagh-e-umr mera gul hai baith mere pas
andheri raat mein jaega tu kahan qasid

na punchh haal mera tujh ko ranj hota hai
bataun dard tujhe hai kahan kahan qasid

pata na us ka mila aur na koi khat aaya
khuda hi jaane gaya hai mera kahan qasid

yaqin hai sun ke mujhe wo bhi dekhne aaen
jo un ke kan mein pahunche meri fughan qasid

jo un se sunna wahi mujh se tu bayan karna
ki mere un ke to hai tu hi darmiyan qasid

chaba chaba ke na tu zikr-e-ghair mujh se kar
tere mazaq mein jaegi meri jaan qasid

kuchh un ke ghusse ka andaz to bayan tu kar
udain kis tarah name ki dhajjiyan qasid

ilahi aate hon wo ya mujhe bulaya ho
suna to hai ki kuchh aata hai shadman qasid

wo hoshiyar hai pahuncha jo us ke kucha mein
har ek shakhs se hota hai bad-guman qasid

tamam umr tera aisa intizar kiya
ki khinch ke aai hai aankhon mein meri jaan qasid

ye ghair kahne lage us se un ki sohbat mein
jo kuchh kaha teri kat jaegi zaban qasid

jo us ne puchha mujhe us ko khub waqt mila
'shafiq' kahne laga teri dastan qasid


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close