tujhse jo kuchh tha zara sa wasta wo bhi gaya

tujh se jo kuchh tha zara sa wasta wo bhi gaya
nam hi ko jo tha qaem rabta wo bhi gaya

samt gum thi raste ki be-nishan thin manzilen
lamha lamha sath tha jo qafila wo bhi gaya

aasman ki wusaton mein dip the jalte hue
tha tasawwur mein naya ek rasta wo bhi gaya

doston mein dushmanon ko dekh kar hairan hun main
aage badh jaane ka tha jo walwala wo bhi gaya

wasl ka bhi raaz raston ke kathin hone mein hai
shayad ab dushwar tha jo fasla wo bhi gaya

soch ki uljhan sulajhti ja rahi hai dam-ba-dam
gum-shuda manzil ka tha jo waswasa wo bhi gaya

is qadar nazdik paya dil ne jab apna habib
ab talak qaem raha jo hausla wo bhi gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close