tujhse shikwa na koi ranj hai tanhai ka

tujh se shikwa na koi ranj hai tanhai ka
tha mujhe shauq bahut anjuman-arai ka

kuchh to aashob-e-hawa aur hawas ki hai shikar
aur kuchh kaam badha hai meri binai ka

aai phir nafa-e-imroz se khushbu-e-visal
khul gaya phir koi dar band pazirai ka

main ne poshida bhi kar rakkha hai dar-parda-e-sher
aur bharam khul bhi gaya hai meri danai ka

yani is bar bhi wo khak udi hai ki mujhe
ek khatka sa laga rahta hai ruswai ka

shairi kaam hai mera so main kahta hun ghazal
ye abas shauq nahin qafiya-paimai ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close