tulu-e-mehr ne phulon ki zindagi kam ki

tulu-e-mehr ne phulon ki zindagi kam ki
ye kya khushi hai ki taqdir khul gai gham ki

jalao khun rukh-e-shama zard hai yaro
lagao aag ki nikhre to aabru gham ki

labon tak aai hui muskurahaton ko na rok
teri bala se jo badh jae zindagi gham ki

na kar yaqin ki bedar hain chaman wale
bhare chaman mein luti hai bahaar shabnam ki

jinhen shuur-e-gham-dost ras aata hai
huzur-e-dost bhi karte hain aarzu gham ki

meri taraf se bhi us dar pe ek sajda-e-shauq
jahan khushi ke barabar ho aabru gham ki

jafa-shiar dua de mere tabassum ko
hazar bar badha di hai aabru gham ki

guzar chuka hun har ek zindagi se main 'anjum'
mera kalam hai tarikh sare aalam ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close