tum aaina hi na har bar dekhte jao meri taraf bhi to sarkar dekhte jao na jao haal-e-dil-e-zar dekhte jao ki ji na chahe to na-chaar dekhte jao bahaar-e-umr mein bagh-e-jahan ki sair karo khila hua hai ye gulzar dekhte jao yahi to chashm-e-haqiqat nigar ka surma hai niza-e-kafir-o-din-dar dekhte jao uthao aankh na sharmao ye to mahfil hai ghazab se jaanib-e-aghyar dekhte jao nahin hai jins-e-wafa ki tumhein jo qadr na ho banenge kitne kharidar dekhte jao tumhein gharaz jo karo rahm paemalon par tum apni shokhi-e-raftar dekhte jao qasam bhi khai thi quran bhi uthaya tha phir aaj hai wahi inkar dekhte jao ye shamat aai ki us ki gali mein dil ne kaha khula hai rauzan-e-diwar dekhte jao hua hai kya abhi hangama aur kuchh hoga fughan mein hashr ke aasar dekhte jao shab-e-visal adu ki yahi nishani hai nishan-e-bosa-e-rukhsar dekhte jao tumhaari aankh mere dil se le sabab be-wajh hui hai ladne ko tayyar dekhte jao idhar ko aa hi gae ab to hazrat-e-zahid yahin hai khana-e-khummar dekhte jao raqib barsar-e-parkhash hum se hota hai badhegi muft mein takrar dekhte jao nahin hain jurm-e-mohabbat mein sab ke sab mulzim khata muaf khata-war dekhte jao dikha rahi hai tamasha falak ki nairangi naya hai shoabada har bar dekhte jao bana diya meri chahat ne ghairat-e-yusuf tum apni garmi-e-bazar dekhte jao na jao band kiye aankh rah-rawan-e-adam idhar udhar bhi khabar-dar dekhte jao suni-sunai pe hargiz kabhi amal na karo hamare haal ke akhbar dekhte jao koi na koi har ek sher mein hai baat zarur janab-e-'dagh' ke ashaar dekhte jao