tum bhi dekho jo humne dekha hai

tum bhi dekho jo hum ne dekha hai
shahr mein ek naya tamasha hai

raqs karte hue hain log magar
ghunghru patthar ka sab ne bandha hai

sari masrufiyat ki wajh wahi
wahi har khwab ka hawala hai

sab khayalon ka ek mehwar wo
sare lamhon ka wo shanasa hai

us ko dekha to sochta hi raha
khwab ne waqia tarasha hai

mil ke dekha to silsila ye khula
khud hi dariya hai khud hi pyasa hai

zehn mein us ki yaad yun aai
jaise raushan charagh aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close