tum gae sath ujalon ka bhi jhuta thahra roz-o-shab apna muqaddar hi andhera thahra yaad karte nahin itna to dil-e-khana-kharab bhula-bhatka koi do roz agar aa thahra koi ilzam nasim-e-sahari par na gaya phul hansne pe khatawar akela thahra pattiyan rah gain bu le udi aawara saba qafila mauj-e-bahaaran ka bas itna thahra roz nazron se guzarte hain hazaron chehre samne dil ke magar ek hi chehra thahra waqt bhi sai-e-madawa-e-alam kar na saka jab se tum bichhde ho khud waqt hai thahra thahra dil hai wo mom mila hai jise shamon ka gudaz ab koi dekhe na dekhe yunhi jalna thahra tum ne jo shama jalai thi na bujhne pae ab to le-de ke yahi kaam hamara thahra gunguna lenge ghazal aaj 'wahid'-akhtar ki nam lena hi jo dar-parda tumhaara thahra