tum ho mahfil mein to meri chashm-e-tar dekhega kaun chand ke aage bhala dagh-e-jigar dekhega kaun yaad ke sukhe gulabon se saja hai dil ka bagh zakhm ye guzre dinon ke ab magar dekhega kaun aap hi ki hai adalat aap hi munsif bhi hain ye to kahiye aap ke aib-o-hunar dekhega kaun main hi apna mohtasib ban jaun warna dosto gumrah-e-manzil hun ya hun rah par dekhega kaun bijliyan bhar panw mein aage zamane se nikal ban gaya jo tu ghubar-e-rah-guzar dekhega kaun ek din mazlum ban jaenge zulmon ka jawab apni barbaadi ka matam umr bhar dekhega kaun 'manzar' apne khun se is shakh ko sarsabz kar gar zaban mit jaegi tera hunar dekhega kaun