tum kab the qarib itne main kab dur raha hun chhodo na karo baat ki main tum se khafa hun rahne do ki ab tum bhi mujhe padh na sakoge barsat mein kaghaz ki tarah bhig gaya hun sau bar girah de ke kisi aas ne joda sau bar main dhage ki tarah tut chuka hun jaega jahan tu meri aawaz sunega main chor ki manind tere dil mein chhupa hun ek nuqte pe aa kar bhi ham-ahang nahin hain tu apna fasana hai to main apni sada hun chhedo na abhi shakh-e-shikasta ka fasana thahro main abhi raqs-e-saba dekh raha hun manzil ka pata jis ne diya tha mujhe 'baqi' us shakhs se raste mein kai bar mila hun