tum na hote bhi to jahan hota

tum na hote bhi to jahan hota
itna dilkash magar kahan hota

shauq gar zud-kaamran hota
to maza is qadar kahan hota

har nazar ki hai apni had hoti
apna apna hai aasman hota

teri pahchan hum karen kaise
kuchh to ai be-nishan nishan hota

dil mein un ke mili aman tujh ko
warna tu ai 'sada' kahan hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close