tum se milna bhi nahin tum se bichhadna bhi nahin waqt ke jaise magar hum ko badalna bhi nahin ishq ne phir hamein ek bar hai bakhsha sahra dariya milna bhi nahin abr barasna bhi nahin badi mushkil se chhupate hain zamane se tumhein zakhm risna bhi hai aur aankh ko galna bhi nahin wo kahin dur bahut dur gaya hai mujh se us ko aana bhi nahin hum ko machalna bhi nahin sar mein baithi hai ana sine mein chubhti baaten gale milte hain magar dil kabhi milna bhi nahin khwab pairon tale shanon pe hai zimme-dari hum ko udna bhi hai pankhon ko nikalna bhi nahin zabt ke jism mein rahne do meri zat ko tum main jo bigda to main duniya se sambhalna bhi nahin