tum se rah-o-rasm badha kar diwane kahlaen kyun jin galiyon mein patthar barsen un galiyon mein jaen kyun waise hi tarik bahut hain lamhe gham ki raaton ke phir mere khwabon mein yaro wo gesu lahraen kyun majburon ki is basti mein kis se puchhen kaun batae apna mohalla bhul gai hain be-chaari lailaen kyun mustaqbil se aas bahut hai mustaqil kaisa bhi ho mazi kis ke kaam aaya hai mazi ko dohraen kyun han hum ne bhi aaj kisi ka nazuk sa dil toda hai shahr-e-wafa ki rasm yahi hai hum is par sharmaen kyun khidki khidki sannata hai chilman chilman tanhai chahat ki mahfil mein ab hum naqd-e-dil-o-jaan laen kyun wadon ke jangal mein 'azar' hum to barson bhatke hain aap karen kyun dil pe bharosa aap ye dhoka khaen kyun