tumhaara qurb-e-mohabbat mein kya zaruri tha visal-o-hijr ka ek silsila zaruri tha jahan se hausla haara tha wo talatum mein safina us ka wahin dubna zaruri tha wahin pe chehre ko apne chhupa liya tum ne numaishon ka jahan aaina zaruri tha tum us maqam se guzre ho aandhiyon ki tarah tumhein thahar ke jahan sochna zaruri tha ghazal ke nam ko kyon dagh dagh kar dala ki apni zat ka rona bhi kya zaruri tha