tumhaare baad aankhon ki gali mein

tumhaare baad aankhon ki gali mein
koi aata nahin viranagi mein

magar wo zakhm mere si na paya
bahut mashhur hai bakhiya-gari mein

jiye jate usi ke lutf mein hum
agar ek dukh hi hota zindagi mein

sunata ja raha tha hijr ka dukh
wo barson baad milne ki khushi mein

wo alhad aaine se jhankti hai
bhula baithi main jis ko be-dili mein

tumhein dil se kiya rukhsat magar ab
tumhin tum ho hamari shaeri mein

barabar chal rahi hain donon suiyan
hamara waqt aaega ghadi mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close