tumhaare dard ko suraj kaha hai naya uslub ghazlon ko diya hai sahar ke raste mein sar uthae andheron ka wahi parbat khada hai bahut kuchh jo kitabon mein nahin tha wo chehron ki lakiron mein padha hai koi wahshat-zada zakhmi irada tabassum ban ke lahraata raha hai batao nam bhi hai kuchh tumhaara mera saya mujhi se puchhta hai mujhe apna samajh kar zindagi ne khud apne aap ko dhoka diya hai dar-o-diwar se har roz 'jami' wahi be-rang afsana suna hai