tumhaare jate hi har chashm-e-tar ko dekhte hain

tumhaare jate hi har chashm-e-tar ko dekhte hain
hai aansuon ka samundar jidhar ko dekhte hain

'faraaz' ho gae rukhsat jahan-e-fani se
udas udas sukhan ke safar ko dekhte hain

kahan wo ishq-e-jawan ki thahar gain kirnen
ruki ruki hui baad-e-sahar ko dekhte hain

suna hai 'faiz' se aage nikal gae the 'faraaz'
ghazal ke soz-e-darun ke asar ko dekhte hain

suna hai us ne ghazal ka badal diya lahja
sabhi 'faraaz' ke fikr-o-nazar ko dekhte hain

suna hai us ki ghazal aaina thi hasti ka
isi liye to hum us aaina-gar ko dekhte hain

sajaya us ne hunar se jo apni ghazlon ko
suna hai log ab us ke hunar ko dekhte hain

kahan 'faraaz' kahan 'azam'-e-shikasta-jaan
zara sa chal ke hum us ki dagar ko dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close