tumhaare shahar mein tha bhi to ek musafir main so thak ke baith gaya raste mein aakhir main main har lihaz se sairab tha khuda ki qasam ye aur baat ki pyasa raha ba-zahir main huruf milte hi aawaz dub jati hai jo chup rahun na batao to kya karun phir main kisi bhi samt bhatakta phirun yamin-o-yasar talash rah karun bhi to kis ki khatir mein meri khushi ko yahi rabt bahami hai bahut mera mughanni hai wo aur us ka shair main ye khel khatm bana haar-jit ke hoga ki jis hunar mein wo yakta usi mein mahir main hazar bandha gaya mujh pe aainon ka hisar kisi pe apne alawa hua na zahir main