tumhaare wasl ka bas intizar baqi hai main rang rang hun lekin singhaar baqi hai hawaen tham gain gard-o-ghubar baith gaya ek apni zat ka bas intishaar baqi hai tamam umr pilaya hai jis ko apna lahu us ek phul pe ab tak nikhaar baqi hai tumhaare nam ki khushbu se rach gai hai faza sada ki gunj mein paiham pukar baqi hai jo ghaon bhar gaya us ka nishan hai ab tak us ek zakhm mein ab bhi bahaar baqi hai jo raat hijr ki guzri tumhaare pahlu mein us ek shab ka abhi tak khumar baqi hai tum ek bhuli hui dastan ho lekin tumhaari yaad mein ek sogwar baqi hai