tumhaari aankhon ki chemistry ko samjhunga phir is ke baad kisi raushni ko samjhunga ye rail-gadi nahin hijr ka ishaara hai main is ki kuk se afsurdagi ko samjhunga nikal launga zeno se ishq ki mantiq arastu padhte hue shaeri ko samjhunga rakhunga samne wal-asr ki ibarat ko main kaenat ki be-chehragi ko samjhunga main apne bap ki ummid ka sitara hun so apne farz ki khush-qamati ko samjhunga talazumati hawalon pe kaam kar raha hun tumhaare jism se baalidgi ko samjhunga