tumhaari be-adai ke maze aane lage mujh ko jo mere dushman-e-jaan the wo samjhane lage mujh ko teri furqat mein haalat ho gai hai aaj wo meri ye mere chaara-gar zanjir pahnane lage mujh ko khudaya dekh kar un ko mujhe tujh par yaqin aaya unhin mein to tere jalwe nazar aane lage mujh ko diye ashkon ke palkon ki munderon par hue raushan kabhi jo sham-e-hijran aap yaad aane lage mujh ko natija dil ke samjhane ka nikle bhi to kya nikle use samjhane jo baithun wo samjhane lage mujh ko na jin ke jism par sar hai na chehra hai na aankhen hain qayamat hai wahi aaina dikhlane lage mujh ko jo patthar phenkne walon ko main ne ghaur se dekha bahut se log un mein jaane pahchane lage mujh ko